Shaam Chala Beemar Lyrics - Talib Allahabadi Noha 2023 / 1445


Shaam Chala Beemar


Hathkadiya bediya sambhaale Shaam chala beemaar
Roub-o-jalaalat sabr mein dhaale Shaam chala beemaar 

Aun-o-Muhammad Qasim-o-Akbar
Nanha mujaahid baba ka lashkar
Karbobala sab tere hawaale, Shaam chala beemaar 

Zulm-o-tashaddud ka hai basera
Chaane laga ghurbat ka andhera
Sotay hain rann mei ghar ke ujaale, Shaam chala beemaar 

Deti thi Zainab ro ro duhaayi
Durre pe durre khaata hai bhai
Soye kahan ho gesuyo waale, Shaam chala beemaar 

Toota hua ik kohay alam hai
Sehme hue bachchon pe sitam hai
Chaaro taraf hain khanjar-o-bhaale, Shaam chala beemaar 

Nok-e-sina par phuphiyo ki chaadar
Naize pe ghar waalon ke kate sar
Dekh ke kaise dil ko sambhaale, Shaam chala beemaar 

Nanhi Sakina pusht-e-shutur par
Baandhi gayi rassi se jakadkar
Kehti thi bhai mujhko bacha le, Shaam chala beemaar 

Haaye bohot purkhaar tha rasta
Jalti zameen thi khoon tha behta
Phoot ke roye paao'n ke chchaale, Shaam chala beemaar 

Naaqo se jis dam girte the bachche
Kehte the ye Sajjad tadap ke
Koi gire bachchon ko utha le, Shaam chala beemaar 

Fikr mein hai ye Abid-e-muztar
Dete nahi mohlat ye sitamgar
Kaise pidar ke teer nikaale, Shaam chala beemaar 

Roye lahu Shabbeer ke gham mein
Taab nahi Talib ke qalam mein
Kaise likhe Zainab ke wo naale, Shaam chala beemaar





Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.