Be Rida dekhna maa behno ko aasan Nahi Lyrics - Syed Ali Nawaz Noha 2023


Be Rida dekhna maa behno ko aasan Nahi 

Khake gash khak pe girte the ye abid kahekar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi
Koi tho laake sakina ko udha do chadar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi


Na kabhi sham ke bazaar ka manzar bhule
Ye alam aisa tha na abid e muztar bhule
Ashq barsaate huwe kahete the ye shamo shahar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi

Umrbhar karta rahunga main yahi aaho buka
Mere hamrah tha unto'n pe nabi ka qunba
Thamkar dil ko buka karte the ibne sarwar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi


Aisa manzar na kabhi Aankho'n se dekha hota
Mout bazar me Aa jati tho acha hota
Thaam lete the yahi kahete huwe apna jigar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi


Na kabhi bhulunga jo Zakhm diye ummat ne
Tukde dil hogaya dhaye hain mazalim aise
Meri bazaar me uthti na thi gairat se nazar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi

Chalna dushwar tha gairat se mara jata tha
Har qadam par mujhe ye marhala tadapta tha
Kaise batlaon kiya sham talak kaise safar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi


Bekasi aisi thi hargaam pe rulwaya gaya
Bhare darbar me shahedaniyo'n ko laya gaya
Haal darbar e sitamgar ka sunao'n kiyonkar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi


Imteha'n sham ke bazaar me mera hay
Nange sar saath me zahra ka tha qunba hay
Inteha rakhta nhi meri musibat ka safar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi


Shabr kaise karu ab shabr nhi hota hai
Yaad aati hai jo bazaar ki dil rota hai
Khoon ke aansu rulayega sada ye manzar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi


Aaina bandi siva wa sham ke bazaar ki thi
Aale Ahmad pe ghadi ye bade Aazaar ki thi
Mare gairat ke jhukaye huwe chalta tha nazar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi


Aake yashrab me bhi raqimo nawaz bhule nhi
Yahi kahete the mujhe kash sama leti zamee
Umrbhar bas yahi noha raha jari labpar
Be rida dekhna maa baheno ko Aasaan nhi



Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.