Aabid e Bimaar Hai Aur Shaam Ka Baazar
Taoq hai zanjeer hai aur gardane bimaar hai
Sar khule hai maayen bahne aur shaam ka baazar hai
Aabide bimaar hai aur shaam ka baazar
Rasta purkhaar hai aur shaam ka baazar
Chin gyi har bibi k sar se jo ridayen
Saiyyade sajjad ko manzar ye rulaye
Majmae aghiyaar hai aur shaam ka baazar
Kaisi museebat hai ye aur kaisa sama hai
Dushmane sadat hua sara jahan hai
Zulm ka ambaar hai aur shaam ka baazar
Har ghadi har lamha nayi ek museebat
Taoq ki eeza hai to durron ki aziyat
Zulm ki sarkaar hai aur shaam ka baazar
Ghazi alamdaar ka ab kya hai sahara
Suntey hai dariya pe gya sheer hai mara
Kaun madadgaar hai aur shaam ka baazar
Maula mera q na bhala ashq bahaye
Kaisey tamacho se sakeena ko bachaye
Khud hi giraftaar hai aur shaam ka baazar
Us pe muqaddar ne sitam kaisey hai dhaaye
Baba ne jiske hai kai qaidi churaye
Aaj vo laachar hai aur shaam ka baazar
Dhoop ki shiddat me abhi jalna padega
Paaon me chaley hai magar chalna padega
Chalna bhi dushwaar hai aur shaam ka baazar
Kis tarah phuphiyon k liye banaye
Sharm se bimaar kahin marr hi na jaaye
Zehra ka gharbaar hai aur shaam ka baazar
Arsh vo meraj padho zabt ka nauha
Uske liye ashq bahao k jo maula
Khuld ka sardaar hai aur shaam ka baazar
#syedmerajhaiderrizvi
#nauha2023 #anjumanhaideryhallaur
Kalam title -- Aabid e bimaar hai aur shaam ka baazar
Recited by--Meraj hallauri
Poetry by--Arsh hallauri
Composition by--Meraj hallauri
Vocal support by--Zaigam hadi & team pak
Audio & video by-- Zaigam hadi & team pak