"Noha Lyrics"
mola hussain (as) mola hussain (as) mola hussain (as) mola hussain (as)
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
mein muztarib hun mere dil ka gham mitta dijay
bas apnay dil mein ziyarat ki ilteja le kar
mein betha rehta hun tasweer e karbala le kar
fana mein betha hun mujhko baqa bana dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
mein janta hun bhot kum naseeb hun mola
mujhy hai ilm bhot hi ghareeb hun mola
ye kum naseebi o ghurbat meri mitta dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
jahan pe barchiyan kha kar giray ali akbar as
jahan pe rakha hai gehwara e ali asghar as
muqaam e akbar as O asghar as mujhy dikha dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
mein kazmain O najaf dekhun samra dekhun
jahan jahan mere mola as hain wo jagah dekhun
ye ilteja hai ke zair mujhy bana dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
jo hosaky mujhy ashoor par bula lijay
ayy mere mola as mujhy ye sharaf atta kijay
ke karbalai mere naam mein laga dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
ye chata hun wahan ashk se wazu mein karun
karun mein seena zani khoon ka bhi pursa dun
wahan ki khak mein mera lahu mila dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
kisi baras ye mera intezaam ho mola as
chalun mein shoq se paidal najaf se karbobala
mere qadam bhi rah e arsh par laga dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
zareeh e hazrat e abbas ko bhi choomun mein
dar e huzoor pe mashkeezay ko bhi dekhun mein
tou rasta e kaf e abbas as bhi dikha dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
dua hai majid O mukhtar ki mere mola as
jo momineen na ziyarat pe jaa sakay aqa
sab hi ko zair e karbobala bana dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
Mere Hussain Mujhy karbala Dikha Dijay
mola hussain (as) mola hussain (as) mola hussain (as) mola hussain (as)