Wo jisay marfat e karbobala hojaye
Wo jisay marfat e karbobala hojaye
Usko salman (a.s) ki beenayi ata hojaye
Majlison mein chalay ao gham-e-shabbir (a.s) karo
Ye tou wo gham hai ke har gham ki dawa hojaye
Wo jisay marfat e karbobala hojaye
Dil mein bu-e-gham-e-shabbir (a.s) basaye rakhna
Dil ke kuzon se ye khushbu na juda hojaye
Wo jisay marfat e karbobala hojaye
Zikr-e-abbas-e-alamdaar kiya kar har dam
Takay tu waqif-e-adaab-e-wafa hojaye
Wo jisay marfat e karbobala hojaye
Sab masihah hain muhammad (saww) ke gharanay walay
Naam beemar jo lele tou shifa hojaye
Wo jisay marfat e karbobala hojaye
Aag khaimon mein laeeno ne lagadi dekho
Kisi maa se koi bacha na juda hojaye
Wo jisay marfat e karbobala hojaye
Halq-e-asghar (a.s) ko tou paani ki zaroorat thi magar
Teer se zakhmi na asghar (a.s) ka gala hojaye
Wo jisay marfat e karbobala hojaye
Midhat-e-aal-e-muhammad (saww) mein na chorunga UROOJ
Mujhse hota hai agar koi khafa hojaye
Wo jisay marfat e karbobala hojaye
Wo jisay marfat e karbobala hojaye
Wo jisay marfat e karbobala hojaye